Your Stories: Mental Health Myths and Facts (Hindi)

By Ishika Bansal

Mansik Swasthya: Mera Anubhav, Kuch Galatfahmiyon ke Paar

Mansik swasthya. Sunne mein hi kitna bhari shabd lagta hai. Bachpan se jab bhi yeh shabd sunti thi, lagta tha yeh toh bahut hi kam logo ko hota hoga. Aur jinhe hota hai, unse door rehna chahiye. Pata nahi kab kya kar dein.

Sirf main hi nahi, bahut saare log aisa hi sochte hai. Dimaag se judi baat ko andekha kar dete hai, kyunki darr yeh hota hai ki log kya kahenge. Humare aas paas abhi bhi shabd ghoomte rehte hai jaise pagal hai kya?, dimaag kharab hai kya? Aur isi darr se, hum aksar khud se bhi apna sach chhupate hain.

Lekin main chahti hoon ki aaj apni kahani ke zariye main un galatfahmiyon ko tod paun jo depression ke aas paas bani hui hain. Kyunki sach yeh hai ki yeh sirf doosre logo ko nahi, balki kisi ko bhi ho sakta hai, mujhe bhi hua tha.

Myth 1: “Depression sirf kamzor logo ko hota hai”

Meri kahani COVID ke dauran shuru hui. Main ek 19 saal ki college student thi, dilli mein pali-badhi, ek achhe parivaar se. Sab kuch “theek” lagta tha. Lekin dheere-dheere maine mehsoos kiya ki main apne aap ko kho rahi hoon. Jo cheezein mujhe pasand thi jaise khaana banana, doston se baat karna, filmein dekhna, un sab ka rang utar gaya tha.

Log kehte hai ki jo strong hote hai unhe kabhi depression nahi hota. Lekin mujhe samajh aaya ki yeh ek bimari hai, personality ki weakness nahi. Jaise shareer ko thand lag jaati hai ya bukhaar ho jaata hai, waise hi dimaag bhi beemar ho sakta hai.

Aur jab maine therapy shuru ki, mujhe yeh samajhne mein aur madad mili. Therapist ne kaha: “Tumhare dimaag ko bhi araam ki zarurat hai, jaise ek fracture wale pair ko.” Us din maine pehli baar khud se narmaai dikhayi, aur samjha ki mazboot hone ka matlab hamesha ladna nahi hota, kabhi-kabhi rukna aur heal karna bhi hota hai.


Myth 2: “Depression asliyat nahi hai bas dimaag mein hota hai”

Bahut log kehte hai ki depression kaalpanik hai , sirf “dimaag ka khel” hai. Lekin yeh sach nahi hai. Depression sirf vichaaron ki wajah se nahi hota, iska hormonal aur chemical imbalance se bhi sambandh hai.Mujhe yaad hai ek daur aisa tha jab mujhe bed se uthna mushkil lagta tha, bhuk khatam ho gayi thi, aur bas sona chahti thi. Yeh “sochne ka natija” nahi tha, balki dimaag mein chal rahe chemical imbalance ka asar tha.

Myth 3: “Depression sirf dukh hi hai, tum positive soch lo toh nikal jaoge”

Bahut baar log bolte hai: “Zyada mat socho, positive socho, sab theek ho jaayega.” Lekin agar yeh itna hi aasaan hota, toh shayad main do mahine tak bed par padi na rehti.

Dukh ek emotion hai jo aata hai aur chala jaata hai. Lekin depression ek bimari hai jo hormones se judi hai. Positive sochna hosla de sakta hai, lekin bimari ka ilaaj sirf “aachi soch” se nahi hota. Mujhe therapy mein thought journaling aur mood tracking sikhaya gaya. Usse maine apne negative patterns ko samajhna shuru kiya. Saath hi, main mandala art aur meditation karne lagi, jo dimaag ko shaant karne mein madadgar raha.

Myth 4: “Depression hamesha ek badi tragedy ki wajah se hota hai”

Mujhe khud bhi shuru mein lagta tha ki log poochhenge: “Tum toh ek achhe parivaar se ho,tumhe koi dikkat toh hai nahi, phir tumhe depression kaise?” Kamaal ki baat toh yeh hai, ki aaj bhi log yehi bolte hai.

Lekin depression ko hamesha kisi badi wajah ki zarurat nahi hoti. Mujhe yeh bina kisi “badi ghatna” ke hua.  Bas dheere-dheere sab cheezon se ruchi khatam ho gayi, aur mujhe laga main khud se door ho rahi hoon. Yeh sabit karta hai ki depression kabhi bhi, kisi bhi insaan ko ho sakta hai chahe unki zindagi achi hi kyun na dikhe.

Myth 5: “Depression zindagi bhar rehta hai”

Sabse bada darr yeh hota hai ki agar mujhe depression ho gaya toh main hamesha isi andhere mein atak jaungi. Mujhe bhi laga tha ki main kabhi theek nahi ho paungi. Lekin dheere-dheere maine dekha ki chhoti-chhoti aadatein farq laati hain.

Meri maa ne exercise karne ke liye mera hoslaa badhaaya. Pehle toh mujhe gussa aata tha “jab brush karna bhi bojh lag raha hai toh exercise kaise karun?” Lekin dheere-dheere, exercise se mood 5% behtar hua. Uske baad cooking classes aur audiobooks ne mujhe busy rakha. Har chhoti activity ne mujhe apne andheron se thoda thoda door kiya.

Aaj main depression se bahar hoon. Therapy, routine aur family support se mujhe wapas khud se milne ka mauka mila. Yeh sabit karta hai ki depression hamesha nahi rehta.

(Editor’s Note: Everyone’s journey with mental health conditions is different. Please continue to get your information from credible sources. You can read more here)


Myth 6: “Madad mangna kamzori hai”

Main maanti? hoon, sabse mushkil kaam tha apne bhai ko batana ki mujhe lagta hai main jeene layak nahi hoon. Usraat meri zindagi badal gayi. Agar maine unhe nahi uthaya hota, toh shaayad main aaj yeh likh nahi rahi hoti.Madad maangna kamzori nahi hai. Yahi sabse badi taakat hai. Therapist, family, doston ka support iss sabne mujhe sambhala. Har kisi ki journey unique hai, kabhi therapy se farq padta hai, kabhi dawa se, kabhi dono se. Lekin madadlena hi pehla aur sabse zaruri step hai.

Uske baad kya?

Aaj main casually nahi bolti “mujhe exam ka depression ho raha hai.” Kyunki depression koi slang nahi hai. Main apne doston se nahi kehti “ro mat.” Kyunki rona bhi zaruri hai. Apne emotions ke paas rehena, unhe mehsoos karna bhi zaruri hai.

Mansik swasthya ko samajhna matlab yeh samajhna ki jaise sharir ko chot lagti hai, waise dimaag ko bhi lag sakti hai. Aur jaise sharir ke liye doctor ke paas jaate hai, waise hi dimaag ke liye therapist ke paas jaana bhi utna hi normal hai.


Ant mein

Meri kahani yeh sabit karti hai ki depression ke aas paas jo myths hai, unhe todna zaruri hai. Jab tak hum unhe todte nahi, tab tak log chup rahenge, madad nahi lenge, aur aur gehre andhere mein chale jaayenge. Mera hamesha yehi manna hai, khud isse guzarne ke baad ki,  ki kisi bhi insaan ko in taklifo se akele nahi jujhna chahiye. 

Agar aap ya aapke aas paas koi isse guzar raha hai, toh zaroor yaad rakhiye: yeh kamzori nahi, yeh aapki galti nahi, aur aap akela nahi hai.

About the writer: Ishika Bansal is a 24-year-old young professional in the media and entertainment industry, with a background in Economics and a minor in Film Studies. She has experience spanning festivals, production, and creative strategy, and is deeply passionate about mental health, with a goal to help remove taboos around it.

Also by Ishika Bansal:


आलेख में निजी विचार हैं. हेल्थ कलेक्टिव, किसी एक्सपर्ट या प्रशिक्षित मेंटल हेल्थ एक्सपर्ट का विकल्प नहीं हो सकता. मदद के लिए – भारत में मौजूद सुविधाएं यहां देख सकते हैं